He Maa Saraswati, Veena Vaadini
Veena Vaadini, Vidya Dhaarini... He Maa
Khaali jholi le ke Maiya
Ab main tumhaare dar pe khada hoon
Swar ki shakti mujhmein bharde Maa
Aur tan-man ko paawan karde ... He Maa.
Man ke andhiyaaron mein Maiya
Tu gyaan ki jyoti jagaade
Saanson mein sangeet sajaade Maa
Aur tan-manki pyaas bujhaa de ... He Maa
Sab devon ki tu swaamini
Sab raagon ki tu Mahaaraani
Meri manveena bhi bajaade Maa
Man mein meri aas jagaade ... He Maa.