Aa jaa ke kab milke Rab se dua maange
Jeevan mein sukoon chaahe, chahat mein wafa maange
Haalaat badalne mein ab der na ho Maalik
Jo de chuke phir yeh andher na ho Maalik
Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahara
Iss tere jahaan mein nahi koi humara
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le,
Ishwar ya Allah hai Daata....... (3)
Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahara
Iss tere jahaan mein nahi koi humara
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le,
Ishwar ya Allah hai Daata....
Humse na dekha jaaye barbaadiyon ka samaa
Ujdi hui basti mein yeh tadap rahe insaan
Nanhe jismo ke tukde liye khadi hai ek Maa
Baarood ke dhuen mein tu hi bol jaaye kahaan
Ek tu hi bharosa ek tu hi sahara
Iss tere jahaan mein nahi koi humara
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le
Ek tu hi bharosa
Ek tu hi sahara
Iss tere jahaan mein
Nahi koi humara
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le,
Ishwar ya Allah hai Daata..
Naadaan hain hum to Maalik, kyun di humein yeh
Sazaa,
Yahaan hai sabhi ke dil mein nafrat ka zehar
Bhara..
Inhein phir se yaad dila de sabak wohi pyaar ka
Ban jaaye gulshan phir se kaanton bhari duniya
Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahara
Iss tere jahaan mein nahi koi humara
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le,
Ishwar ya Allah hai Daata..
Meri pukaar sun le
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le
Ishwar ya Allah hai Daata
Hey Ishwar ya Allah
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le,
Ishwar ya Allah hai Daata...
Iss tere jahaan mein nahi koi humara
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le,
Ishwar ya Allah hai Daata..
Meri pukaar sun le
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le
Ishwar ya Allah hai Daata
Hey Ishwar ya Allah
Ishwar ya Allah, yeh pukaar sun le,
Ishwar ya Allah hai Daata...
Meri pukaar sun le, Meri pukaar sun le, Meri pukaar sun le