Tora man darpan kehlaaye
Tora man darpan kehlaaye
Bhale bure saare karmon ko, dekhe aur dikhaaye
Tora man darpan kehlaaye
Tora man darpan kehlaaye
Man hi devta, man hi Ishwar, man se bada na koy
Man hi devta, man hi Ishwar, man se bada na koy
Man ujiyaara jab jab phaile, jag ujiyaara hoy
Is ujle darpan pe praani, dhool na jamne paaye
Tora man darpan kehlaaye
Tora man darpan kehlaaye
Sukh ki kaliyaan, dukh ke kaante, man sabka aadhaar
Sukh ki kaliyaan, dukh ke kaante, man sabka aadhaar
Man se koi baat chhupe na, man ke nain hazaar
Jag se chahe bhaag lo koi, man se bhaag na paaye
Tora man darpan kehlaaye
Tora man darpan kehlaaye
Bhale bure saare karmon ko, dekhe aur dikhaaye
Tora man darpan kehlaaye
Tora man darpan kehlaaye